Taweez

Q: Mera teen question he.

1. Kia jadu ka ilaje hum taweez or qurani wazifa ksa kr sakta hea? Kia ya taweez or wazifa quran or sunat sa saabit he?

2. Kia hum jayz kam ka lea taweez or wazifa ka istmal kar sakta hea? Kisi se shaadi karni ho.. karobar ya job ka lea.. njayz dosti larka or larki ma khtam krna la lea.. ya ksi or bhtr kam ka lea jis sa ksi ko nuqsan na ho?

3. Jaado ur taweez ka tor ka lea kea kea jaye. Kia kisi ghair muslim se bi help le sakta he? In sab suwaalo ka jawaab quran or sunat ke mutabik hadith ka hawaala de kar dia?

A:

1 & 2) Agar taweez ka madmoon jaaiz he jaisa ke Quraan ki aayaat ya Allah Ta'ala ke naamo me se koi naam ya istiaazah ki dua waghairah owr koi najaazi cheez ne ho owr pehne wale ka aqeeda owr yaqeen saheeh ho, owr taweez likhne waala saheeh maqsad ke lia likhe, to pehna jaaiz hoga.

3) Ghair Muslim ke paas in cheezo ke lie na jaaye kyoonke bohot se dafa wo jinnato se madad lene ke lie shirk, kufr aur haraam kaam karte hei aur haraam kalimaat musalmaan se kehlwate hei aur karwaate hei. Is lie in lowgo se bachna bohot zaroori hei.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)