Q: Mere gym owner ne ye masla apse pochne kelye kaha hai. Wo bodybuilding gym own krte hn jiska hissa me bi hn. To waha ladkon ki farmaish pe cd player bi hai jisme daily jbtak gym me boys hote hn songs chalte rete hn except azan n namaz timings. So mere gym owner ne pocha hai kia ye songs jb chalte hn to wo bi wahn hote hn for guidance but wo songs pe dhyan nai dete balke zikar me dhyan rakte hn mostly apna tasbeeh padte hn hath me to kia ye songs chalne n sunne ka gunah n azab unko bi milega or wo ye gunah aelanya karae hn jise ladke sunte hn unke through to kia wo bi gunahgar honge. Please Quran, Hadees and shariat se jawab dijie.
A: Ye songs ka sunna aur sunana haraam he. Usko bilkul khatam karna chaahiye. Khuda se taubah karna chaahiye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: