Waraasat ka kuch maal sadaqa me dena

Q: Mere papa ka inteqal ko 22 din hogae jis waqt inteqal hua unke takiye ke neeche se kuch paise nikle jo humne unke name se kharch ki niyat se amant k tour pe rakhliye. Maine raat khuwab mai apne papa ko dekha wo 5kg ke qareeb aata mujhe de rahe hai or apne paise mujhse puch rahe mere paise kaha hair lao mujhe do plz aap tabeer btaiye.

A: Agar wo paise jo us ke takia ke neeche paye gaye, us ke zaati paise the, to aap lowgo ku chahia tha ke us paise ku tarakah me daakhil karte owr us ku wurasa ke darmiyaan shar'ee hisso ke mutaabiq taqseem karte. Jin lowgo ne us paise ku khiraat me dediye, un ku chahia ke taraka me utne paise ku apne taraf se waapas kare owr wurasa ke darmiyaan shar'ee hisso ke mutaabiq taqseem kare. Mayyit yahi chate he ke unka taraka Shar'ee tareeke ke mutaabiq taqseem hojae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada