Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ye khwaab najiz halat mrin fajr k baad dekha.khwab mein mi madine shareef mein hun or wahan aasmaan par lafz mohammad maine saaf dekha mi meri bhanji k sath bhag rahi hun ph lane k lye pic lene k lye.mere wapas ane tak wahan abar agaya phir ek lafz aya aasmaan par namaaz o mazkar maine padha lekin phir sahi padha to wo namaaz o zikr tha.phir jistarah haj mein zibah karte hi bakra to main sonch rahi hun k yahan to sab gosh dedana padta isilye phir ek badi kadai mein gosh talejaraha tha to maine soncha k isme gosh dalkar mai achaar banakar ghar lejaongi.phir madeeneshareef or 2 minar ka aks dikha jo ek jagah se udhkar thodi dur pr zameen par rukgaya.

A: Paanch waqt ki namaaz ku apni saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Subah owr shaam kuch waqt nikaalde zikr owr Qur'an parhne ke lia owr fazaail-e-amaal owr fazaail-e-sadakaat ki ta'leem karne ke lia. Tamaam kaam ku Sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare owr gunaaho se parhez kare. Allah Ta'ala aap ku Haramain Shareefain ki ziyaarat naseeb farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels