Q: Mein raat ko sotay he khwaab dekha ke mein apni marhoom maa ke saath dhoop mein baith hon sardion mein dhoop senknay aur bara bhai bhi saath hay. Ekdam se mujhay matli si feel hoti hay aur jab mein qah karta hon neechay zameen par baith kar to mere galay se yellow plastic ke dhagay (jo ham gharin mein kapray dry karnay ke leay wire use kartay hein woh jin dhagon se bani hoti hay) nikalna shuro ho gaey hein aur nikaltay ja rahay hein itna ke mera saans lena mushkil ho gaya aur phir ghabra kar meri ankh khul gaey.
A: Qay se muraad gunaaho se tawbah karna owr saheeh raaste ki taraf waapas aana. Aapku chahia ke namaaz par paabandi kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Issy tarah tamaam muhstabah owr haraam cheezo se parhez kare (jaise mushtabah maal, sood, cellphone, internet, TV, na munaasib akhbaar, waghairah). Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab apni marhooma waalida ke lia bhejde.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: