Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti gi, me muje zayada dream yaad nae lakin dream ya ta ka ma car ma hoo aur mera sath Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) sath, muje feel howa ka mera sath aur ma kisi aur planet ma hoo koi dosri duniya ma. Hum jesay jeeps aur log tae aur phr ma masjid ma gaya aur wudu kar raha hoo aur namaz ho ri hai esa lag ra ta ma wudu ma bhouth tym laga ra hoo. Aur log jaha ra namaz ka liya bas etna yaad hai.

A: Ye achcha khwaab he. Allah Ta'ala aap ku apni muhabbat-e-khaasah naseeb farmae owr Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki muhabbat bi naseeb farmae. Paanch waqt ki namaaz ku parhene ka ihtimaam kare musjid me ba jamaat ke saath owr tamaam na mahram awrato ke saat purda ka ihtimaam kare. Tamaam kaam ku sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare owr gunaaho se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada