Published 7 years ago
Last updated 7 years ago
Q: Meri ammi ne khawab mai dekha hai k mere abu jinki 2 months pehlay wafaat hui hai wo wafaat se qabal jis bemaar haalat mai the usi halat mai wo ammi se khafa hain aur kuch b khane peene se mana kar rahe hain. Isi asnaa mai mere bare aatey hain aur wo abu se pochtay hain k unko kya hua hai aur gussa Q kar rahe hain to mere abu unko kaandhey pe kaat kar unko gira deitey hain aur kehte hain k mujhse baat na karo. Ammi ne ye khawab fajar ke bad dekha hai.
A: Fikr karne ki koi zuroorat nahi he. Kabi is tarah ke khwaab zehni khiyaalaat se paida hote he. Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab apni marhoom waalid ke lia bhejde.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: