Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dekha asman py rat kay waqt aik jaga bht roshni dikhae deti he. Bohot sary log hm neechy khry dekh ehy hoty hn. Meri ami ar meri bhn saima bhi udher hoty hen. Mujhy lagta hay k ham pay Allah ka koi azab nazil hony wala hy, lekin wo roshni aik line ke soorat main agy bhrti hy ar kuch door ja k ruk jati hay, phr waha sy noor ke kirnen phoot'ti hn. Wo kirnen gifts ke soorat ikhtiar ker leti hn zmeen ke trf bhrty hwy. Yh manzar dekh ker mera khof khushi men change ho jati hy. Wo gifts rozmarah ke zroriat hoti hn. Sab log wo chezen zameen say ikati krna shuru ker dety hn. Aik sofa ami ke trf aa rha hota hay to mn ami say khti hn, ami thora peechy ho jaen yh kahen apk uper na gur jay. Mein ar meri bhn saima paisy ikthy krty hn. Phr bad mn jab hm ginty hn to us kay pas 5000 hoty hn ar mery pas 1200. Mn khti hn k asman say frishton ny yh cheezen brsaen. Phr mn foran apny alfaz change kerti hn, k bhla frishty ksy khud say phank sakty hn yh to unhn nay Allah Tala kay hukm say brsaen hen chezen zameen per( mn bian islye change krti hn k kahin Allah tala ke shan mn gustakhi na ho jae, yani shirk na ho jae). Aik kagat ka tukra bhi asman say girta hy, ar us per Hazrat Ali ke shan mn kuch likh hota hy, jb k us kay uper Dr.Zakir naik ka name likha hota hay, jsy yh unhn ny likha ho.

A: Ye achcha khwaab he. Khwaab dalaalat karraha he ke agar aap Allah Ta'ala ka qurb chahte ho owr apni zindagi me barkat chahte ho, to neak raaste par chale owr tamaam kaamo ku Sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare. Issy tarah aap ku chahia ke gunaaho owr tamaam mushtabah cheezo se bhi parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels