Sila rahmi

Q: Mujhe aapse aik masly kay bary mein puchna hy jo k ikhlaq kay zumry mn ata hy. Hum apny relatives kay sath bachpan say he bohat achch thy, hmary dil saaf thy. Hm jab bhi apni cousins wgera say milty to dil say milty ty. Lekin hmari cousins ka jb dil kerta hmen bula letin ar jab dil kia ignore ker dia. Jab ham school mein thy to hmari cuosins hmsy theek trha say nhe milti thin, uski bjae wo hmari doston say bht khush ho k milti thin. Hmny yh bhi ignore ker dia. Hm bry hoty gye 12th class tk to hmny apny dil ko saaf e rakha. Hmen samajh nhe ati ti tb unki. lekin ahista ahista unki samajh ani shuru ho gae, jb unhn koi nhe milta ta to wo hmary sath time pass ker leti thin ar jsy e koi unko apna qareebi milta to hmari trf dekhti bhi nhe thin. Unhn asa kr kr kay hmary dil bhi maily ker dye ar ab hmara bhi unsay milny ko dil nhe krta. Jb hmry dil saaf thy tb to wo thora bht phr bhi bat ker leti thin. Lekin jab say hmny unk peechy phirna chor dia hay tab say to wo salaam lena bhi psand nhe kerti. Mera yh sab btany ka maqsad yh hay kay, insan bazz okat acha hota hay lekin dusry log usko galat bna dety hn. Kia hmen apni izzate nafs ke hifazat krny ke ijazat hay Islam mein. Agr koi bar bar hmari izate nafs ko majrooh kry to kia krna chahye. Ayse situation mein kia kerna chahye jb koi apko relative e na samjhy ar neecha smjhy, ar tissue paper ke trha treat kry?

A: Aap apni taraf se ta`alluqaat ko saheeh rakhne ki koshish kare. Iska khiyaal ne kare ke woh aapke saath silah aur sulook karte he ke nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels