Published 7 years ago
Last updated 7 years ago
Q: Mera sawaal he me 10 tollay sonay ki malik hu or mane 1992 se le kar 2016 aj tak zakaat nahi di. 1992 se le kar ab tak meri kitni zakaat banti he aur me France me rahti hn kia zakaaat meri euro me hogi ya pakistani rupay me? I am actualy from Pakistan.
A: Har saal ko sone ka chaleeswah hissah zakaat me adaa karo. Aur sone ki qeemat lagaane me is waqt ki qeemat lagaayi jaayegi. To agar is waqt sone ki qeemat mathalan 40 000 ho to 1000 zakaat me adaa kare. Isee hisaab se har saal zakaat ki qeemat lagaade aur usko adaa kar.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: