Susar ke karobar ki zakaat ka nikaalna susar ke intiqaal ke bad
Q: Hamare susar sahab ka ek business tha rent ki shop me sanitary k saman ka. Kuch arsa unho ne us shop me kaam kiya magr thore time k bad wo shop mere husband ko kaam krne k liye bitha dya lekin mere husband us karobar k malik nhi hain. Ab susar sahab ka inteqal hochuka hai to wo karobar warasat me shamil hogya q k mere husband ki milkyat nhi tha. Ab us karobar ki zakat ka tareeqa kar kiya hoga zakat nikalna chahty hain tareeqa kya hoga or warasat k karobar me bhi zakat wajib hai ya nhi?