Qasam towrne ka kaffara

Q: Mene nadane me Quran paak pe hath rakki qasam lia ta ab me wo qasam lena chahta ho toh me aus ka kuffara kese karo? Agar app bataadi koi hal he to?

A: Qasam torne se kaffarah waajib hota he aur qasam ka kaffarah ye he ke das miskeeno ko do waqt khana khilaana, ya har eik ko sadaqatul fitr ka miqdaar dena ya har eik ko kapra pehnana.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Mufti sahb Qasam torne se kaffarah wajib hota he to App ki hesab se sadaqsutl fitr ka kya hesab hona chaheye ain 10 bndo ko 2waqt sadaqatul fitr dena he ya sirf 1dafa?

A: Sadaqatul fitr me jo raqam dee jati he woh poori raqam eik miskeen keliye kaafi he. Albatta qasam ke kaffarah me das miskeeno ko dena chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels