Khwaab ki ta'beer

Q: Umeed hain ap Allah ki hifazat main kheriyat say hoon gay. Mujhay aik Khwab ki tabeer maloom kerni hai. Khwab kuch yun hai kay main aik jaga pay hoon jahan shadi/mangni ho rahi hai us larki ki jis say main shadi kerna chahta hoon, main us ki dost ko keh kay usay bulata hoon or wo kehti hai kay mujhay tum say shadi nahi kerni sath he us ka bhai a kay mujh pay chilata hai or kehta hai nikal jao yahan say. Main bahir nikalta hoon to dekhta hoon kay 4 loog 2 arab libas main or 2 kay mun dhakay huay hain mujhay salam kertay hain main salam ka jawab deta hoon or bahir a jata hoon. Bahir a kay main or meray 2 dost khana dhoond rahay hain or nahi mil raha achanak aik jaga pay gari roktay hain jahan dukan band hai, wahan aik safaid darhi wala banda ata hai or khana leta hai or sath he humain bhi khana milta hai or hum kha letay hain. Kuch cheezain clear ker doon. Jis larki ki baat main ker raha hoon wo door ki ristedar hai. Hum aik doosray ko 7 saal say jantay hain or koi ghalat harkat kernay ki nahi sochtay ab hum shadi kerna chahtay hain magar us larki kay ghar walay nahi mantay kyon kay un ko koi ameer larka chahye hai.

A: Agar larki ke maa baap khush nahi he ke aap un ki larki se shaadi kare, to us ke peeche ne pare. Kisi doowsri jaga nikaah kare. Allah Ta'ala aap ku barkat de owr aap ku khush rakhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels