Khwaab ki ta'beer

Q: Me apne ek khwab ki taabeer jaanna chah rhi thi. Mujhe khwab dikha ki mere peeche ek chita (tiger) pada hai aur me usse bachne k liye bhag rahi hu, chhup rahi hu. Ek baar to usne mera haath apne muh me pakad bhi liya lekin fir naa jane kaise mera haath usse chhut gaya aur wo kaat nahi paya aur me fir se bhaag gayi. Fir bhagte bhagte mujhe khwaja garib nawaz ki dargah dikhi ki me bahar khadi hu aur mere shauhar dargah se bahar aaye aur mujhe ek dora dikhaya ki maine ye dora banwa liya hai ab wo chita tere peeche nahi ayega. Bas fir meri neend khul gayi.

A: Rowzaana Fazaail-e-Aamaal owr Fazaail-e-Sadaqaat ki ta'leem kare subah owr shaam das pandra minute ke liye. Issy tarah paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels