Khwaab ki ta'beer

Q: Mein ny apni shaadi k liye istakhara kiya tha. Mein ny khawab mein daikha tha k raat ka waqat hai. boht andhera hai. mein ghar ja rahe hon. mgr ghar ka rasta nai mil raha. phr aagy aik rasta hai. us rasty mein 2 Sher bethy hain. mein unky qareeb sy guzar jati hon. thora aagy jaati hon daikhti hon k aik sher mery peechy Aata hai. wo mujh py jhapta aur meri Aankh khul gaye.. doosri dafa istakhara kiya to khawab mein Apny hathon py mehandi lagi howi daikhi.. mgr right hand ki mehandi left hand sy ziada achi the.. plzz mujhy khawabo ki tabeer bta dyn. aur meri madad b kar dyn.

A: Khwaab par poori i'timaad ne kare. Ba'd dafa zehni khiyaalaat ki wajah se khwaab dekhe jaate he. Jis rishta ke lia istikhara ho raha he, wo dekh lia jae ke agar wo neak he owr us ke Deen, Akhlaaq owr aadaat achche he, to rishta qubool kya jae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada