Khwaab ki ta'beer

Q: Khawab ki tabeer chahiay aik khawab main mai nai dekha kai mai nanu kai ghar mai ho aur aik dam asman ki taray(stars) tot jatay hai... soraj(sun) n baki planets ghoomna shru kar dety aur aik dam asman tot jata aur mery upar a kai gir jata hai aur mai ye sochti ko qiamat a gae phr aik dam apnai anjam ki fikar hoti aur sath hee khud ko aik qabar mai pati ho magar mai waha safaid qafan mai hoti upar phol hotay dosra khawab ye kai mai khud ko khana kaba mai pati ho aur aik dam zalzala ata waha kafi zoor ka plz in donu khawabu ki tabeer bta dai

A: 1 & 2. Ye zamane ke fitno ki taraf ishaarah he. Is pur fitan zamane me aqalmandi ka taqaza ye he ke aadmi apne deen aur aakhirat ki fikar kare aur gunaaho se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels