Khwaab me chaand dekhna

Q: Maine khawab mein dekha hai ki main apne gaon se bahar bagicha ke taraf magrib baad gaya barish ka pani charon taraf bhara huwa that bagicha she nikalkar Ghar aaraha tha raste mein chacha jee ka Ghar padta hai jaise hi main unka Ghar ke pass se a age badha to keya dekhta hai chand mein kafi roshni hai meri najar samne purab ki traf ek patli chand (do din ka)par padi main hairan rah gaya ki itni patli chand aur itna jeyadah roshni tabhi mera najar sat ke upar dusra chand par pada Jo bada tha tabhi main hairan ho gaya ki ek saath do do chand nazar aaraha hai tabhi main apne ek dost ko aawaj diya ki dekhiye do do chand nazar aaraha jaise hi wah Ghar se bahar nikle purab mein Jo patla wala chand mujhe dikhayee de raha tha khatam ho gaya.phir meri nind khul gayee yah khawab Maine subah 4 baje aaj hi dekha please taabir irsal kardein.

A: Chaand se muraad Allah Ta'ala ke neak owr maqbool bande he jin ke neak aa'maal se rowshni phelte he. Aap hamesha neak bando ki suhbat me rahe owr unse faaida uthaate rahe. Allah Ta'ala aap ku Deeni samajh naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels