Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ye 2 khaab koi 3 hafte pehlai dekha tha. Pehla khaab ye tha kai ek khuli zameen hai bht bari jo hari bhari hai. Aur main aur kuch mere sathi jin ki shnakht mujhai sahi se yaad nahi hum asmaan main ek daba sa tha us pai sawar thai samne ek safed rang ka asmaan main koi jagah thi jab hum thore kareeb huwe tou vo mandir tha. Aur vo aise lag raha tha jaise maine kahin dekha hou jo mujhai bahir se bht acha laga. Thore aur agai gaye tou us mandir main 2 3 larkiyun nai mujhai eshara krke bulaya ke aou lkn main eshare main kawab diya kai nahi hum musalman hai nahi a sakhte .. aur jab thore aur kareeb huwe tou maine chalang laga ke hath lagaya aur phir neechai utar gaye hum .. neechai utre tou dour kahin ek ghar sa tha jis main rosini thi vahan bhaag ke pohunche tou kuch loug army kai uniform main thai aur kisi nai bola tumhare ghar main koi mar gaya hai .. hame vapis jana tha lkn har taraf andhera jab maine unko madad ke liye bula kai hame chor de vahan tak unhou nai kaha bache nahi hou jaou khud .. aur phir main uth gayi.

Dosra khaab ye tha kai main meri 2 behen ammi abbu hum mall gaye vahan jate hi pehlai namaz parhi aur dosri taraf ke darwaze sai jab nikle tou achanak mere taya abbu aur ek bhabi meri mujhai udher milai aur baraf hou rahi thi bahir aisa laga kai hum pakistan a gaye. Jab hum sab car main baithe tou upar car main ek frame laga tha jis main 2 snakes ka design tha jab maine upar dekha tou ek snake nai mujhai dekha aur apni zuban nikali aur hil raha tha dosri baar dekha tou dosra snake hil raha tha aur mujhai dekh raha tha maine vo snak nikal kar sabko bola bhaag bhaag ke kai ye asli hai ye asli hai par sab nai bola ye nakli hain kahan hil rahe hain tum pagal hou gaye hou maine bht batane ki koshish ki par kisi nai mera yakeen nahi kiya. Please mere khaab ki tabeer ager hou tou bata den shukriya.

A:

1. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Neak suhbat ikhtiyaar kare owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (jaise cellphone, internet, TV, waghairah). Ghalat salat qisam ke lowgo se door rahe aur ghayr muslimo ki suhbat se parhez kare. Unke libaas, unke chaal daal, unke rusoom aur riwaaj se door rahe.

2. Apne Deen par pukta raho aur Allah Ta'ala aap ki hifaazat farmaayenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels