Shaa'ir Islam ki tazeem aur ihtiraam karna

Q: Mere khwaab mein meine dekha ki mein aur ammi kayi raaste mein ja rahe hote hai aur mere haath mein ek kitab hoti hai achanak se mein use phek deti hun ja kar kichad mein girti hai meri nazar niche padti hai to mein dekhti hun ki wo koi mamuli kitab nahi hai Qur'an-e-paak hai tauba karti aur ankh ko laga kar Qur'an aur Allah Paak se maafi mangti hai aur sine se lagati hun. Mufti saab plz is khwab ki tabeer batadijyea.

A: Shaa'ir Islam (jeise Qur'an, Azaan, Masaajid) ki tazeem aur ihtiraam kya kare. Issie tarah har cheez jo Islam se mutalliq he, us ke saath muhabbat aur ihtiraam kare. Jo kuffaar aur ghairo ka tariqa he, us ke saath nafrat kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels