Q: Agar Ayat e Quran ko lesson k toor pr jesa k islamiyat ki kitab mai yaad kia sirf lesson ki niyat se oor ye niyat ki k baad mai yaad rakhnay ki niyat mai nhi krta oor phir bhool Ghia oor thora sa yad rh Ghia To kia ab doobara yad krna zarori hai? Oor kisi ny agr tarjuma e Quran yad kia oor phir bhola dia, kia tarjuma bhi yaad rakhna lazmi hai? Agr kesi ny Aahadees ya un ka tarjuma yad kia to kia un k bhoolany pr doobara un ka yad krna lazmi hai? Agar Quran Jo bhool Ghia us se tooba to ki mgr yad na kia ye kesa hai?
A: Qur'aan Shareef ka jitna hissa yaad ki ho isko duhrana chaahiye taake koi hissah bhool ne jaaye. Qur'aan Shareef ko yaad karke bhool jaana jonsee niyyat se ho bari mahroomi ki baat he.
Ye dharoori nahi.
Behtar he.
Koshish karte rahe.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: