Q: Maine khwaab mai dekha ke bahot andhera hai aur mai qabristan ke karib khadi hun je. Yeh qabristan mere ghar ke karib hai hakikat mai hai hamare yehan qabristan. Phir age maine dekha wahan ek aurat bahot badbad kar rahi hai jo kisi ko mana kar rahi kuch karne ko mai os ke karib jati hun to woh qabristan ki taraf muh kiye howe hai mai ose puchti hun kiya bat hai to woh mujhe kahti hai ke mai inhe kab se mana kar rahi hun per Yeh mante nahi koi fayeda nahi mai puchti hun kon to woh qabristan ke andar isara karke batati hai ke woh hamare nabi hai aur mai wahan dekhti hun aur mujhe mahsus hota hai ke hamare nabi hai mustafa sallalaho alaihi wasallam jo qabristan mai hai our Qabar khud rahe hai woh aurat kahti hai Yeh tomhari Qabar hai aur osme pani bhi araha hai oper se kiyu ke hamare yeha qabristan jara dhalan mai hai aur wahan teen Qabar khudi hoi hai aur wahan mujhe Qabar khudne ki chije najar arahi hai aur jis insan ko mai nabi samaj rahi hun woh Qabar mai se pani bahar dal rahe hai masha Allah bahot khubsurat hai safed libas pehna hai our khas bat on ka libas matti our kichad se bilkul ganda nahi huwa tha aur mai Yeh dekh kar ghabra jati hun our wahan se hat jati hun. Kiya sach mai woh hamare nabi ho sakte hai plz bataiye?
A: Jee ha. Ye mubaarak khwaab he. Tamaam kaam ku huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ki sunnat ke mutaabiq karne ki kaushish kare aur ghunaaho se parhez kare. Aap ku Allah Ta'ala apni khaas muhabbat aur apne Nabi ki khaas muhabbat naseeb farmaaye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: