Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwaab ki tabeer maloom karni hai. Kuch mahino se Alhamdullilah Huzur tashreef late hain. Pahle akele tashreef late the. Phir dusre lauren mein farishton ke saath tashreef laye aur tableeg ka huqum farmaya. Phir agle khuwab mein Hazrat Ali qarmullah R.A se mulqaat karwaya Alhamdullilah kya khubsoorat manzar tha. Agle khuwab mein mein jannat-al-baki mein khadi thi aur Aap kuch logon se meri mulakat karwa rahe the..hi Ki faut ho chuke Hain magar sab k sab mujhse se milkar kafi khush the. Phir agle khwab mein apne pyare nawase se mulaqat karwaee. Unka sir nahi tha ye dekh main rone lagi ke aapko kitni takleef pahuchi hogi to isper unhon ne farmaya ke takleef kaisa mujhe to shahadat naseeb hui Alhumdullilah. Aur pas hi unki biwi baithi thin aur wahin per khatoon -e-jannat bhi maujud thi. Agle khuwab mein Huzur Ummul momeneen Hazrat Ayesha R.A ke saath the aur aap ko Hazrat Ayesha R.A khana khila rahi thin aur aap har baar ki tarha kafi khush then.

A: Ye sab khwaab ache he. Allah Ta'ala tamaam kaamo me ittiba sunnat naseeb farmaaye

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels