Nikaah se pehle larka owr larki ke darmiyaan najaaiz taalluqaat

Q: Mujhy app say apni shadi ke baare may baat karni he. Main apni pasand ki shaadi karna chati ho our sub sahi chal raha tha har cheez sahi thi hum pechly 5 saal say baat kar rahy thy our khush thy Sath our humari nature buhat same thi. Matlab hum nay Allah Ta'ala say ayk dua ki thi k humra life partner ASA ho Jo same ho hum say our Allah tallha say yah dua humari qabool b ki hum milwaya waha say jaha say humra koi chance hi nahi tha our sub sahi chal raha tha mery ghar waly maan b gay thy us k liya our us k ghar waly b man gay thy k thik hy hum jaey gay our baat pakki Kar k ay gay per howa kuch ASA k wo ay our unho nay mujh may points niklna churo kardiyn our us larky ko b kahny lagy k wo Larki sahi nahi hy. Per jab say meri baat us larky say ho rahi thi meri mama khuwab dakh rahi thi k main ho our buhat khush ho kahi green darakt k pass ho our buhat sary fruits cut Kar rahi ho our main nay green colour Ka dress wear kiya howa hy. Our jab say meri our us larky k baat kharb Hoi hy mama khuwab may dakh rahi hy k mama k hath may AK plate hy jiss may kuch green colour Ka hy buhat Sara our mama dil may yah soch rahi hy k yah our to weisy hi hy Jesy humary piyary NABI (P.B.U.H) ka roza Mubarak Ka menar hy.. Ab please app mujhy in khuwaboo ki tabeer batain our yah batain k wo mery naseeb may hy yah nahi..

A: Nikaah se pehle larka owr larki ke darmiyaan har tarah ke taalluqaat najaaiz he. Allah Ta'ala se tawbah kare is haraam taalluq se owr pakka azam kare ke aainda aap ye gunaah nahi karengi. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada