Khwaab ki ta'beer

Q: Meri beti jo k 18 saal ki ha khawab ma dekhti ha k wo apni sister k sath ghar ma computer pe bethi ha k achanak Rasulullah Salallaho Alaih e wassallam tashrif laaty hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne bacha uthhaya hota ha aur farmaty hain dekho ye mera nawasa Hussain ha, beti batati ha k is baad mujhy yaad nhi but khawab ka manzar change ho jata ha aur 2 bachy ghar ma khailty bhaagty nazar aaty hain, bahut khoobsurat unhon ne bhi sufaid jubbay pehne hoty hain, ayk ka name Aasman (sky) and doosry ka zameen ha, beti ko Assman ziada acha and piyara lagta ha, kuchy dair baad bachy rone lag jaty hain bhook ki wajha se, tu hamaray bhabi ayk bachy k monh ma angootha deti ha tu wo chup ho jata ha and so jata ha, doosry bachy Aasman ko beti uthha leti ha wo bhi chup ho jata ha, Hazrat is khawb ki kia tabeer ho sakti ha.

A: Allah Ta'ala aulaad ku nek aur saalih banaaye aur Deen ke lie qubool farmaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels