Q: Maine khuwab mein dekha ke mein bohat haseen muqam mein houn. Her jagah Pani ki haseen abshaarein beh rahin hein aur khoob phool poday, haray bharay darakht moujood hein. Mere haath mein peach colour ki tashbeeh bhi hoti Hai Jo ke bohat piyaari chamkati hui hoti Hai. Phir ek shakhs Jo ke sahabi hote hein mujhe kehte ke tumhe ek shakhs ki mout ka shadeed sadma phoncheyga. Jann'na chahti ho kiska? Mei kehti houn jee tou wo kehte 'Abdullah'. Aur yehi batane ke liye mei tumhe is jannat mein laya houn. Molvi sahab is khuwab ka kiya matlab Hai? Mei asal zindagi mein kisi Abdullah ko nahi janti.
A: Har haal Allah Ta'ala ki taraf rujoo kare, aur hamesha un ki taqdeer se khush rahe. Zindagi me kabhi khushi ka mauqa aata he aur kabi ghammi ka. Mu'min ne khushi ka banda he aur ne ghammi ka, balke wo Allah ka banda he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: