Waalidain ki zimmadaari aulaad par he

Q: Kia waldaaen (agr sirf walda hon) kee zamadaree beton pr betion se zyada hae? Agr beta aik ho aur 4 betian. All married.

2. Agar fajr kee qaza namsz ada krnee ho to 2 sunat 2 faraz parhen gae ya sirf 2 farz.

A:

1. Agar sab aulaad maaldaar ho, to waalida ka nafaqa sab ke oopar baraabar he. Leikin agar un me se koi tangdast ho, to us par waajib nahi hogi leikin baqiya aulaad ke zimme waajib hogi. Baharhaal Khidmat ke baare me, agarche ma ki khidmat sab aulaad ke oopar he, leikin bete ku chaahiye ke ziyaada zimmadaari le le kyoonke shaadi shuda beitiya apni maa ki khidmat karegi leikin khabi apne shohar ki khidmat me masroof hone ki waja se har waqt faarig nahi hogi maa ki khidmat karne ke lie. Lekin jab faarigh hojai, to maa ki khidmat kare.  

2. Do farz.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.