Khwaab ki ta'beer

Q: Meri mangetar ne khwab dekha he ke wo mera hath pakrna chahti he lekan men apna hath chorwa leta hn. Is ki tabeer kia he? Dosra men ne khwab dekha he k boht bari aag nikli he aisa lag raha tha ke qyamat a gai he. Wo aag mere ghar tk pohnchti he mere ghar me Islamic books hn un me se 2 3 books ko aag lg jati he mere hath me Quran hota he us ko kuch ni hota men khud b slamt rehta hn thori der k bd aag khatm ho jati he. Is ki bi tabeer bata den.

A:

1) Jis aadmi se nikaah kya jaaye, us ke Deen, aakhlaaq aur aadaat ke oopar itminaan hona chaahiye.

2) Ye zamaane ke fitno ki taraf ishaara he. Fitne ke waqt hifaazat ka raasta ye he ke aadmi Qur'an se laazim pakar le aur doosri cheezo ku chor de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels