Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ap se pehle b ishtakhara ke khwabon ki tabeer poochi hai. Apko Allah paak is ka ajar de ke ap hamesha jawab dete hai. Mufti saab pata nain apko yaad hoga maine apse ek khwab ki tabeer ki ti ke kisi ke liye ishtakhara kiya gaya ta shaadi ke liye. 2 raste te andhere. Jab ek raste un do ne Liya to doosre taraf roshni mein a gaye te. Aur white phoolon ka fields ta. Apne kaha ke muraad sahi rehnumai ki taraf ja rahi hai. Mufti saab wo ladka baat hi nain kar raha par wo ladki ishtakhara karti rehti hai Allah paak ki maddat ke liye. Mufti saab us ladki ne fair ke namaaz ke baad ek khwab dekhI ti. Raat Ko usne dua ishtakhara pari ti. Nafal nain kar sakti ti. Aur Allah paak se ro ke dua mangi ke jo wo soch rahi hai wo uske liye behtar hai wo us ladke se milegi to koi ishara de do. To usne fair ki salaah ke baad khwab mein apni index finger mein ek silver ki ring dekhi. Ring mein 3 ferozi stones te. Wo khwab mein bahut khushi se wo ring dekh rahi ti. Maine jab pata kiya ke firozi stones ka. To kuch likha ta ke islam mein b yeh stones bahut hai. Par sahi kuch samaj nain aya. Please ap iska bata de. Ap ki meharabani hogi

A: Agar dono khandaan nikah se khush he aur larki aur larki ki maa baap larke ke Deen, akhlaaq aur aadaat se khush he, to shaadi karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels