Khwaab

Q: Mera doubt ye hi Ke my bahut dinon se istikhara kar rahi hu apni marriage Ke liye lekin jab me istikhara ki niyyat kar Ke raat me sothihu tho mujhe kuch khwab nahi ate lekin phir subah uthkar roza rakhne keliye sehri kar Ke namaz Ke baad sothihu tho khwab ate hi Kya my in khwabon ko istikhara Ke result samjhu. ya phir ye kuch aur hi. aur Mera khwab ye hi Ke my aur Meri didi aur jeeju saath kahi jaarahe the raasthe me hamne kahi bhaitna chaha tho hamare jeeju yeh keh kar Mana kardiye Ke yaha bahuth log hi gents yaha nahi chalo kuch aur jagah bhaitenge.phir unhone Jo jagah hame bhaitne ke liye kaha vaha ek bhais Tha jise dekh kar my dar rahi thi lekin unke kehne par my darthi huyi vaha jaakar bhait gayi.iski taabir Kya hi batadijiye pls. Mera aur ek sawal Jo hi aap se Ke agar aurat jab kisiko pasand nahi karti phir bhi apni maa baap ki khushi Ke liye aur aur unse kuch kehne ki himmat nahi rakhti isliye shaadi karle. aur apne shohar se kuch galat bartaav tho nahi karti lekin Dil me unke liye pyaar nahi aur khush nahi tho Kya ye galath hi aur Allah ko pasand nahi ayega ye sab.aur Kya gunehgaar hogi.

A:

1. Jee ha. Us ka i'tibaar ho sakta.

2. Jab tak poora itminaan ne ho dil se, kooi fesla na kare.

3. Agar nikah nahi huwa to apne maap baa ku batlaawe ke rishte se khush nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada