Gaane ke ghalat alfaaz

Q: Mai ne kuch ganay sunay thay aur gaye bhe thy. Meharbani farma ker batain kia aisay gana ganay se insan kafir ho jata hai.

1. Haseeno ko atay hain kia kia bahanay KHUDA bhe na janay to hum kaisay janai.

2. Sub dhokay hain taqdeeron k. Mai ne hanafi mufti sb se pucha tha unhon ne kaha k kufar ko dohrana kufar nahi hota es se insan kafir nahi hota. Mera dusra sawal ye hai k agar koi admi kisi dusray admi se puchay k ap ki shadi hoi thi to wo shadi shuda admi jawab de k nahi hoi to kia rishtay per koi faraq paray ga.

A:

1. Ayse alfaaz har giz istimaal nahi karna chaahiye. Ye khatre se khaali nahi he. Ihtiyaat is me he ke kalimah ko duhraaye.

2. Nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels