Published 11 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Agar koi shaks doraan-e-namaaz zaban se ya dil me koi gaali bake ya koi behuda baat zaban se nikaale ya dil me nikaale to aise shaks ki namaaz hogi? Kya wudhu tootega? or Namaaz toot jaye gi ya makrooh, mamnooh hogi? Makruh ki kisam bhi batayen baraaye meherbaani.
A: Gaali ka lafz zabaan se nikaalna namaaz ke dowraan me jaaiz nahi he. Namaaz us se tootjaaigi lekin wudhu nahi toot ta he. Agar sirf gaali ka khiyaal dil me aya, to namaaz nahi tootegi aur wudhu nahi tootega. Aur jaanboojkar gaali ka lafz sochna namaaz me teek nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: