Mazaaq me kufriya kalimah bowlna

Q: Ayk saal pahla hamari claas main ya wakia paish aya ka ek larka utha aur sa na mazaak sa aesa jumla bola ka jo muje kufriya laga liakin un dinu claas main shayad drama ki practise bhi chal rahi thi shayad us silsila main na bola ho aur main na forum astagfirullah mun main kah dia aas paas muje jaha tk lagta h claas main kafi shoorr tha kch log bhr ja raha tha kch bate lga hoe tha us ka wo jumla main na sun kar astagfirrullah kaha q ka muje aesa lga ka kufr h ya jumla muje shak h ka Christians sa mutaliq tha mazALLA MAZALLAH jo Christians bolta hn kufriya shirkiya jumla jo bhi wo mazALLAh 3 khudao sa mutalik bolta hn ab muje shak h us na English main bola tha aur ek lafz holy spirits ka bhi bola tha ab is bunyaad par kya hukm laga ga us par pta nahi us na toba bhi ki h ka nahi ek saaal pahla ka waqiya h ya ab main us ko kya samjho koi agr kufr dilchaspi sa sune ga bole ga parhe ka to wo daira islam sa obviously kharij ho jae ga ab btae main kya smajho aur kaise is situation ko handle karo pat to us ko bhi h ka Allah ahad h wahdaho lashrik h plz situation ko dakh kar tafsseeli bta dain mere umpr koi wabaal is silsilaa main ho ga nahi ALLAH KI PANAH.

A: Is qism ke jumle se na gawaari ka izhaar karna hattal imkaan rokne ki koshish karna imaan ka taqaadha he. Ayse bad-deeno ke paas bethna bhi ghalat he istighfaar kare aur aaindah ihtiyaat kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)