Aansoo palko par sukh hojaaye to wudhu kaise kare?

Q: Kya rone ke baad jo aansoo palko par rehte he aur wo sukh jaane ke bad agar wudhu kare to wudhu hoga jabh bhi me dua ke liye roti hoon phir wudhu karne jaati hu to wo sukh kar safed rang ke zarraat chipakte rehte he kya wudhu hoga? Aur wo paani se nikalne par bhi nahi jaate? Aur mere palko par pata nahi kuch safed rang ke zarraat aksar rehte he aur wo chipke huwe nahi rehte. Me us se nikaalne bohot koshish karti hoon aur kabhi kabaar mere palko bhi nikalkar aajaate he phir bhi aur safed rang ke zarraat rehete he kya mera wuzu jaaiz he aur kya meri namaaz qubool hogi ya me gunah gaar kehlaaongi agar me isko poora nahi nikaaloo?

A: Agar wo zarraar sakht ho gaye he to usko mal karke nikaalna dharoori he. Aur agar nahi nikaala to wudhu huwa nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)