Nikaah me shart lagaana

Q: Meri 2 mothers hai. First mother k bete ne ek shadi ki, or 2 month bad usse ghar se nikal dia, ye ilzam lga k wo us larki ka taluq mere sath tha, jiska humay ilam nai tha, jab ye baat mere walid saab ko pta chali, unho ne b unki bato me akar mjhy galat kaha or usse b, Allah jaanta he ye galat tha, Mene phir apni ami se baat ki is baray me... to unho ne mjhy yehi huqam dia k tum usse shadi krlo, ye jo b ilzam lgaya hai uski zindagi nai kharab krni or me maan gya...

Ab masla ye hai k usko talak nai derhy, isi shart pe de rhy hain k stamp paper pe ye likha jae ga k wo larki kbhi b mjh se shadi nai kr skti, or uska naka nama registered nai hua, qk 2 month me he masla hogya or ab alehdi huay b us larki ko 8 month hogae hain... To isme islamic point of view se kya fatwa lagta hai, k ye ek najaiz shart hai, or nikah krna humara haq hai, or larki k sath zaberdasti krne ki koshish ki jarhi hai, nikah uska registered nai hai, nikah name ki copy di nai gai, kya isme islam ki nazer me fatwa mill skta hai k talak hojae baghair kisi kaghzi karwai k... papera sirf larki k paas ho k han mene islam k dairay me is shaks se talak leli hai or me kahi b apni marzi se shadi kr skti hu ye mera haq hai or koi mjh se ye haq nai le skta...

A: Us shart ka itibaar nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)