Chupke se nikaah karne ke ba'd us ko dobara karna

Q: Main ye janna hai ki kya koi ladka aur ladki dobara nikah kar sakte hai? Matlab ki ek ladke aur ladki ne bina ghar walo ko btaye nikah kar liya magar ab unke ghar wale razi hogaye hai magar ladki ladka ye nahi zahir karna chahte ki un dono ne nikah pehle hi kar liya hai. Ab kya wo dono ek bar fir se nikah kar sakte hai?

A: Agar larka larki ke kuf nahi he, to pehla nikaah nahi howa. Larki apne maabaap se ijaazat lene ke bad do baarah nikaah parhaana daroori he.

Agar larka larki ke kuf he to nikaah hogaya. Ab dobaarah nikaah parhaane ki daroorat nahi he. Dono apne mabaap ko batlaawe ke dono ne chupke se nikaah karliya. Lekin agar dobaarah nikaah parhaaya jaawe, to haraam nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)