Q: Pehli bivi k 4 javan bachay hon koi qasoor or kmi na ho mrd ki dosri shadi mohbt k nam py kia jayaz hy?jb k dosri ko boht gharor ho khobsorti ka or dil may ye b ho k pehli ko jaty he niklwa day gi.4 bachon k bap sy shadi pr larki k ghar walon ki b badnami ho.kia esi shadi ki himayat jayaz hy? q k esy logon ko Alah Pak ka khof dilao to wo ye keh k foran mu tor dety hn k gunah na wo kr rha hy na mein mazhab ny ijazat d hy.......orat ko kia tahaffuz dia islam ny? sari zindagi aik mard k dr pr beth k wafadari krny apni jawani apny rishty qurban krny or khidmat guzari ka yahi sila hy orat k liay? k mazhab ny ijazat d hy is liy tm tmharay jazbat sb bemani hn q k ab tmhari jagah koi jawan nai naveli lay gi.kia.shariyyat may ye gunah hy ya kisi ka b ghar brbaad kr k esi shadiyon ko support krna jayaz hy mazhaban?
A: Shaadi to mahadh mahabbat ki wajah se nahi ki jaati he. Agar doosri biwi ke tamaam huqqoq ada kar sakta he aur dono ko insaaf ke saath rakh sakta aur tamaam kharch wa ikhrajaat bardaasht kar sakta to usme koi haraj nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: