Q: Musalman baap ki beti Christian se shaadi karli aur Christianity apnali. Magar uska baap uske naam ki qurbani gai men karwata hai to share masla kya hai? Kya us ladki ke naam qurbani honi chahiye? Kya hisse men jo qurbani us ladki ke naam ki hoti hai to kya baqi hissedar ki qurbani jaaez hui ya qurbani nai hui?
A: Christian ke saat us ka nikaah Haraam he lekin agar Islam ku nahi chowrdiya balke apne aap ku mu'min kehti he, to ab bhi wo Musalmaan he owr agar Qurbaani jaanwar me us ka ayk hissa rakliya jai to us ki Qurbaani durust hogi owr sub hisse daaro ki qurbaani bhi durust. Lekin agar wo kaafir hogai, to us ki taraf se Qurbaani durust nahi owr sab hisse daaro ki Qurbaani saheeh nahi hogi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
(و إن كان شريك الستة نصرانيا أو مريدا اللحم لم يجز عن واحد) منهم (الدر المختار 6/326)
Answered by:
Checked & Approved: