Lawaaris bacha ko apna naam dena

Q: Agar hum koi bacha (kuch din ka) jo ke lawaaris he, us ka nasab bhi maloom nahi, parwarish ki niyyat se lete he to kia documentation me us ke walid ki jagah apna naam likhwa sakte he? Humari niyyat bache ka nasab badalne ki nahi, sirf bache ko izzat ki zindagi dene ke liye documentation banwana he aur future me bache ko us ke bare me sab bata dene ki niyyat he.

Kiya is soorat me us ke walid ki jagah apna naam likhwa sakte he? (Humari koi aulad nahi he aur hum apni property sawab ki niyyat se us ko dene ki bhi niyyat rakhte he).

A: Behtar ye he ka apna naam na likhe. Bad me jaa karke masaail khare ho jaate he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)