Sharee adaalat se khula lena

Q: Kiya Sharee (Islamic) adaalat ke baghair fasakh ho sakta hai?

Biwi ke tamam huqooq poore kiye iss baat ki gawahi mere susar aur brother in law bhi dete hai. Aam gharo ki tarah larai hojati thi woh bhi 3-4 saal pehle. Mere susral wale bhi meri biwi ko kehtay hai ke wapis jao. Lekin woh adalat gayee aur khula li. Mai ne poocha ke khula husband ki consent ke baghayr hoti nahi. Aur Islamic court ke baghayr kia fasakh hota hai aur kia jaiz hai?

A: Musalmaan panchayat bhi ye kaam kar sakta he.

Saheeh he ke khula khaawind ki ijaazat ke baghayr to ho hee nahi sakta.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)