Shohar ka kehna "chor diya" se talaaq

Q: Dow din pehle meri biwi se larai huwi. Usne ghussa me kaha "chor do mujhe" to mene kaha "chor diya". Kiya is se ayk talaaq hogayi he jab ke talaaq ki niyyat nahi thi?

A: Agar ye jumla aap ke yaha talaaq ke liya bola jaata he, to eik talaaq-e-rajee waaqi hogayee agarche aap ne talaaq ki niyyat se nahi bola. Lekin agar aap ke yaha ye lafz talaaq ke liye bola nahi jaata he, to phir niyyat ka i'itibaar hoga. Agar aap ne talaaq ki niyyat se nahi kaha to talaaq waaqi nahi huwi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)