Teesri haidh khatam hone par rujoo

Q: Mene doosra nikaah kiya huwa he. Mene ghar wale ko nahi bataya, sirf apni pehli biwi ko bataya. Wo nahi maan rahi thi. Kuch aise haalat huwe ke mene us se ek talaaq de di. Wo apni mekay chali gayi. Us ke baad mene us se bohot manaya he ke ghar aa jao. Wo kehti he ke meri sulah he lekin me abhi nahi aana chahti is baat ko 3 month ho gaye he. Me ye pochna chahta hu ke kiya ek talaaq dene se 3 maah tak ruju na kiya jaye to talaaq pakki ho jati he ya nahi? Jab ke meri wife keh rahi he ke hamari koi larai nahi hamari sulah he.

A: Teesri haidh khatam hone par rujoo ka haq khatam ho jata he aur biwi nikah se nikal jaati he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)