Hadith me baro ki mushabahat ka matlab

Q: Ek riwaayat me he ke behtareen jawaan woh he jo burho (old person) ki mushabahat kare, tu is me burho ki mushabahat se kiya murad he? Kiya banda jawaani me burha ho jaye ya koi aur matlab he?

A: Riwaayat me he ke baro ki mushabahat kare. Uska ma'na ye he ke uske khiyalaat aur soch pukhta ho, chote bachche aur naadaano ki tarah uska soch na ho. Usee tarah se kaam ko karta anjaam samajh karke, choto ki tarah jald baazi ya bila soche kuch nahi karta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)