Biwi ko kehna "agar tu gai naraaz ho ke to tujhe teen talaaq"

Q: Meri kisi baat pe biwi se jhagrra hogaya aur us waqt meri behn aur behnoi bhi mojood the. To meri biwi ne apni walida ko call kar li, to mene shadeed ghusse me kaha k agr tu gai naraz ho k tw tujhy 3 talaq, phir meri niyyat sirf dhmaki dene ki thi, jis par mene use jaane se pehle maafi bhi maang li ke jo mene kaha us pe mitti daalo, to us ne jaate huwe kaha ke mujhe abhi jaane do baad me aa jaon gi, to mene apni khushi se jaane de diya. Kya ye talaq salsa hoi? 

A: Kya "agr tu gai naraz ho k tw tujhy 3 talaq" kehne me lafz 'naraz ho k' ka ta`alluq kis ke saath he. Agar uska ta`alluq aurat ki naarazgi ke saath ho to woh gayi khushi ke saath na ke naraazgi ke saath to talaaq nahi huwi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)