Hadith "halaal bhi waazih he aur haraam bhi waazih he aur kuch mushtabihaat he" ka matlab

Q: Hadees pak he, halaal bhi waazih he aur haraam bhi waazih aur kuch mushtabihaat he inko chor do to kiya jaiz aur najaiz me samajh na aaye tab bhi us baat ko ya kaam ko chorne ka hi hukam aaye ga aur yahi hadees applicable ho gi, yani jab jaiz najaiz samajh na aaye tu use chor sakte he na?

A: Jab jaante nahi to ihtiyaat ka taqaadha ye ke maloom karne se pehle usko na karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)