Q: Mujhse bohot bari galti gunah ho gaya. Meri jis larke se rishte ki baat chal rahi thi usne mujhse ye kaha ke Allah ki qasam kha ke kaho, isse pehle kisi aur se koi rishta koi wasta nahi raha. Agar me usse sach kehti to ye shak kabhi nahi jata me pichli galtiyo ke liye pakki sacchi tauba kar chuki. Mujhe bohot dar lag raha tha tab bh mujhe qasam khani pari usse yaqeen dilane ke liye.
1. Ab me kiya karoo bohot dar lag raha he mujhe azab se meherbani kar ke bataye?
2. Kiya apne hone wale shohar ko pichli aisi kisi baat ke liye bol dena chahiye ya kya kare agar aisi naubat aa jaye to?
A: Aysee baat zaahir karna jaaiz nahi. Khuda Ta`ala se maafi tauba karke is qisse ko khatam kardo aur aaindah kisee ke saamne zaahir na karo. Baaqi, hone waala khaawind ka ye sawaal karna ghalat he. Usko aysa sawaal karna ghalat he. Taubah kar is jhooti qasam keliye. Koi kaffaarah nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: