Iddat poori hone se pehle nikaah karna

Q: Meri aik dost ne apni zindagi bohat mess up ker li he... please guide kare.

Huwa kuch yu ke aaj se 12 saal pehle uss ne ghar walo se chup ke kisi say shadi kar li lekin dono ki nahi bani to larke ne kaha ke jab tumhe koi aur mil jaye ga me tumhu divorce kar dunga. Iss doraan un me husband wife wala relation raha. Kuch saalo baad larki ne ghar walo ko raza mandi de di kisi aur rishte ke liye aur pehle wale shohar ko kaha ke mujhe talaq de do. Uss ne likh ke de di.

Taqreban 1 month baad larki ne bina iddat poori kiye doosra nikah kar liya ghar walo ki marzi se. Ab 9 saal baad uss ki 2 betiya he. Ab uss ko khayal aaya he ke kiya uss ka pehla nikah jaiz tha ho ke wali ki bina huwa tha? Agar nahi toh kiya doosra valid he? Agar pehla valid tha toh talak ke baad iddat ke bina doosra nikah valid huwa? Doosre husband se usski pehli beti shadi k 1.5 saal baad huwi. Please guide kare ke kiya karna chahiye ya kiya ho sakta he?

A: Jab iddat poori nahi huwi to nikaah saheeh nahi ho sakta. Ab aysa karle ke chand aadmiyo ke saamne woh iejaab wa qabool karle nikaah ki tajdeed karle aur unka ta`alluq saheeh ho jaayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)