Qardha ki zakaat

Q: Mere paas total 135000 savings he. Woh mene kisi ko qarza diya he. Woh bhi lambi mudat ke liye. Iske alaawa mere paas kuch bhi cash nahi he. Ab me us raqam ki zakat kaise nikaalo?

A: Jab wo aadmi qardh ke paise adaa kare, to us waqt aap un paiso ki zakaat nikaalde. Agar wo aadmi chand saal ke bad qardh ki miqdaar adaa kare, to guzishta saalo ki zakaat aap ko adaa karna hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)