Wujoob-e-zakaat

Salary par zakaat

Q: Goverment mulaazim ki 1 year salary jo nisaab (zakaat) se ziyada ho us par zakaat farz ho gi? Kyun ke salary ki raqam tu waqfa waqfa se aati he aur yeh ke aik bar jis raqm ki zakaat de di gayi kya ainda do barah phir aglay sal us par zakaat farz ho jaye gi?

Gari par zakaat

Q: Mere paas eik ghari hai apni zaati. Wo maine apny istemaal ke liye bhi aur taxi use ke liye bhi rajhi huwe hai. Kya muj par uss ghari ki total qeemat per zakaat farz hai ya nahi?

Qardha ki zakaat

Q: Mere paas total 135000 savings he. Woh mene kisi ko qarza diya he. Woh bhi lambi mudat ke liye. Iske alaawa mere paas kuch bhi cash nahi he. Ab me us raqam ki zakat kaise nikaalo?

Maqroodh par zakaat

Q: Mere pass 20 tola sona he jis ka istimaal meri biwi karti he jiski zakaat Indian rupees ke hisab se 20000 Rs he. Iske sath hi mujh par 5 lakh ka qarz bhi he.

Mujhe is qarz ko adaa karne ke bad zakaat deni hogi ya zakaat alag adaa karni he aur qarz alag se adaa karna he? Me zakaat apni tankhwa se nikalta hu. Agar qarz adaa karne ke liye paise jamaa karu to zakaat ke paise kaise adaa karunga. Qarz ki surat me zakaat ka kiya hukam he? Kiya mujhe sona bechna hoga?

Zameen ke ooper zakaat

Q: Me ne January 2018 me ek plot investment ki niyyat se khareeda tha jis ki price 450,000 he. Is ke ilawa mera ek plot instalments pe he. Is ki actual price 310 000 he jis me se 225 000 pay ker chuka he aur 85 000 baqi he.

Ab kiya mujhe zakaat dono plots pay deni hogi ya sirf ek plot pe jis ki cash payment ho chuki he?