Shohar ka apne biwi ko kehna "tum mujh pr haram ho aj se"

Q: Mera abhi sirf nikaah hua hai aur rukhsati nahi huwe lekin us ke bawujood aik din ghusse me, lekin talaq ki niyyat se nahi, mere husband ne mujhe message par likh kar bheja ke tum mujh pr haram ho aj se. Lekin unho ne aisi kisi baat ka ilm nahi tha ke is se talaaq par sakti hai aur tab me halat e haiz me thi.

Us ke bad me ne unko bataya ke apne ye kia keh dia mujhe to phir youtube se is bare me Ulama Kiram ke bayanat sunne hum dono ne to wahan yahe tha ke talaq e bain par sakti hai lekin halat e haiz me talaq nahi ho skti... to mujhe yahe pochna hai ke kia halat e haiz me hone ki wajah se talaq e bain par sakti hai ya nahi?

Us ke bad phir bhi tajdeed e nikah ka tareqa bataya huwa tha unho ne ke koi gathering na ho aur na hi koi kalimat parhe bas khawind ka aik gawah ho aur biwi ke 2 gawah ho aur aik bar bhi wo poch le ke aapko wo mard apne nikaah me qabol hai to dono aik bar qabool hai keh dain to nikah phir se ho jata hai...

To next day hi mere husband mere ghar aaye, cousin hain wo meri, aur unho ne mere bhai ko apna gawah banaya aur meri aik aur cousin aur meri behen meri gawah bani to mere bhai ne mera aur unka name le kar haq meher ke iwaz bola ke kia tum dono ko qabool hai to hum ne bola ke hume qabool hai... To mujhe bataye please ke me unke nikah me hu? Kiyun ke na wo mujhe chor sakte hai aur na hi me un ko chor sakti hu.

A: Jab us ne kaha "tum mujh pr haram ho aj se", to eik talaaq baain waaqi howi aur aap us ke nikaah se nikal gayee. Lekin jab tum dono ne dobaara nikaah karliya, to abi aap us ke nikaah me he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)