Published 4 years ago
Last updated 4 years ago
Q: Agar koi message main apne dost ko kahe ke us ne apni biwi ko 3 baar talaaq de di hai in case inka apas mai nikaah huwa ho to kiya iss surat main ho jati hai talaq in case ke yeh baat biwi ke ilm main na ho?
Ya agar koi kisi page per 3 baar likh ker apni biwi ko talaaq de de phir woh kaghaz biwi tak na pohanche in case shohar apne paas hi rakh le likh ker to iss ka kiya masla hai?
A: Apne dost ko message bhejne se teen talaaq waaqi hogayi. Jab aap ne kaaghaz par talaaq likh diya, to ussi waqt aap ki biwi par talaaq waaqi hogayi agarche aap ne us ko nahi bataaya.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: